Wednesday, August 6, 2008

Bewafa Sayari

pyar me aakhe zuban hoti hai
sachii baat to bezuban rehti hai
pyar mein dard mile to kaisa ghabrana
suna hai dard se pyar jawan hoti hai
aapke dilmein kya hai bata dijiye
yu khamosh rehkar na satiye
--------------------------------------------
Tum bhi jano mein bhi janu
lahere aati hai jati hai
phir kyu likha naam mera kinare par
tum bhi jano mein bhi janu
--------------------------------------------
dil na milte to mulakat aduri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
shukriya tera tere aanese ronak to badhi
to yeh mehfil ek jasbat aduri rehti

tune apne daman mein chupaye mere aasu
nahi to akho ki barsaat adhuri rehti
ZINDAGI TO BEWAFA HAI EK DIN THUKRAYEGI MAUT HI EK SACCHI MEHBOOBA HAI( baki sab bakwaas) EK DIN ZAROOR AAYEGI

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain,
Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
--------------------------------------------
Dil Ko Manana aGar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
--------------------------------------------

Jab Dour Ho To Mera,
Tasavvur Na Chorna Aye Dost!!!
Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch
le Mushkil Bahut Hai,
Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
--------------------------------------------
main shayar to nahi .
magar ae haseen
jab se dekha.. maine tujhko
mojhko shayari aa gayi
log kaato se bachkar chalte hai aur hum
hai jinhone phulose chot khaye hai
--------------------------------------------
phool khilte nahi
khusboo unhe khilati hai
ladke bigadte nahi
ladkiya bigadti hai
--------------------------------------------
ZINDAGI TO BEWAFA HAI
EK DIN THUKRAYEGI
MAUT HI EK SACCHI MEHBOOBA HAI
EK DIN ZAROOR AAYEGI
--------------------------------------------
Nazar andaz kaise kare aapko,
nazron me bithaya hai jo aapko,
yaad aane par roye bhi to kaise,
darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko.
--------------------------------------------
hum umeedon ki duniya basate rahe,
woh bhi har kadam par aazmate rahe,
jab mohabbat mein marna pada,
hum margaye,aur woh bahane banate rahe..

--------------------------------------------

ya khudha maaf karna tere is gunehgaar ko,
jo tumhari chamatkaar me daakhil hota hai,
sirf yeh puchne ke liye aaya hu main,
ke kyu har raat ko mera dil rota hai..

--------------------------------------------

Tum To Ghairon Ki Baat Karte Ho Hum Ne To Apno Ko Aazmaya,
Log Kaanton Se Bach Bach Kar Chalte Hain Hum Ne To Phoolon Se Zakham Paya..

--------------------------------------------

khuda kehta hai ki dosti anmol hai
saayad khuda ki dosti hum se na hui
varna kehta ki dosti khuda hai

--------------------------------------------

Dhokha mila jab pyar mein
zindagi mein udaasi cha gai
socha tha chod denge is raah ko
par .
kambhakhat ..
aaj mohalle mein dusari aa gai

--------------------------------------------

kes kadar douk hai zindagi main,
jasay gol jay zayar pane main,
ketne sadeyoon ka dard shamil hai,
1 insan ke kahane main.

--------------------------------------------

zindage ke rah main,
youn hum nekal chalay,
fasaylay bartay rahay,
na maanzilay mileen,
gam to humsafar hai,
koshi hai mahman,
tanhae hai senay main,
laab par hai muskan.

--------------------------------------------

hoga kabe katam yeh safar kaiy?,
manzil kabe aege nazar kaiy?

--------------------------------------------

jen par hota hai dil ko bhout barrosa,
wohe log wqat parnay par daytay hain dokha.

--------------------------------------------

na hasana hai,na rona hai mokadar,
to kkaiy tasewer hona hai mokadar,
mere akhoo ko saza maat dayna,
phir koe khowab dekha maat dayna

--------------------------------------------

zindagi gaam dati hai Qu?
her bar ansoo dati hai Qu?
zindagi main milna milkar bichrna asa hai Qu?

--------------------------------------------

anso ko bhout samjhaya tanhai main aaya karo,
mehfil me humara mazak na udaya karo,
itnay logo main apko tanha pata hoon,
isliyaan chala ata hoon.

--------------------------------------------

kitna piyar kartay hain humunsay,
kaash unko bhi yeh ehsaas ho jaye,
magar aisa na ho kay woh hosh main tab aye,
jab hum gehri neend main so jaye.

koi aankhon se baat kar leta hai,
koi aankhon mein mulaakat kar leta hai,
bada mushkil hota hai jawab dena,
jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.

--------------------------------------------

aapki muskan hamari kamjori hai,
keh na paana hamaari majboori hai,
aap kyun nahiin samajhte is khamoshi ko,
kya khamoshi ko zubaan dena zaroori hai.

--------------------------------------------

toot jate hain sabhi rishte magar dil se ka rishta apni jagah hai,
dil ko hai tujhse na milne ka yakeen magar tujhse milne ki dua apni jagah hai.

--------------------------------------------

kitne jaldi yeh mulakat gujar jaati hai,
pyass bhujati nahiin aur barsaat gujar jaati hai,
apni yaadon se kaho ki yun na sataaya kare,
neend aati nahiin aur raat gujar jaati hai.

--------------------------------------------

good shayari i like this please chek the spell most of the spell is wrong

--------------------------------------------

dekho meri aankho me khwaab kiske hai,
dikho mere dil me tufaan kiske hai,
tum kehte ho mere dil ke raaste se koi gaya nahi,
toh phir ye pairon ke nishaan iske hai..

woh deke zehar yeh kehte hai ki peena hoga,
woh deke zehar yeh kehte hai ki peena hoga,
aur peetha hu toh kehte hai ki jeena hoga..

--------------------------------------------

mehfil saji thi jaam ka tha daur,
jaam me kya tha yeh kisne kiya tha gaur,
jaam me lahoo tha mere armaano ka,
aur sab keh rahe the ek aur,ek aur..

mere saamne woh mehfil sajaaye baithe hai,
apne haatho me mera dil dabaaye baithe hai,
maine pucha ki in haatho me kya hai,
bahaana banake keh diye, mehendi rachchaye baithe hai

--------------------------------------------

woh aaye mere qabr par,
diye bhuja kar chal diye,
nishaan toh mita hi diye the,
rooh ko bhi rula kar chal diye..

aansuon ke rangon se zindagi ki tasveer banaate hai,
tanhai me likhi shayari se mehfil ko sajaate hai,
log samajhte hai hum zindage badi rangeen bitaate hai,
kabhi gaur se dekhiye un tasveeron ko,
yr rang mere aansuon ki gehrai jataate hai..

bewafaa ki baat mat karo yaaron,
wafa dil ko jalaati hai,
jab jab tum wafa ki baat karte ho,
ek bewafa ki yaad sataati hai..

--------------------------------------------

tuhaar chehraa moti samaan
> tuhaar chehraa moti samaan
> moti hamaar kutte ka naam.
> > ===========================================================
> Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se
> sharmana
> Durakht ke paymane pe chilman E husn ka furkat se
> sharmana
> Ye line samajh me aaye to mujhe zaroor batana
> > ===========================================================
> Jaat riding a cycle, hits a Girl.
> Girl:Ghanti nahin mari jaati kya?
> Jaat: Re bawli ?!! Poori cycle maar di, aab ghanti
> alag se maaru ke ?
> > ===========================================================
> tere dar pe sanam hazar baar aayenge,
> tere dar pe sanam hazar baar aayenge ..
> ghanti bajayenge aur bhaag jayenge !!
> > ===========================================================
> He: Janeman, is dil mein chali aao
> She: Sandal nikaloon kya!
> He: Pagli, ye mandir nahi hai, aise hi aajao
> > ===========================================================
> Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga, ek saroor sa uske
> dil pe chaya hoga pehle socha hoga tujhe jannat mein
> rakh lun..phir usse zoo ka khayal aaya hoga
> > ===========================================================
> Mein Tumhare Liye Sab Kuch Karta..Magar Mujhe Kaam
> Tha..Mein Tumhare Liye Doob Ke Marta Magar Mujhe
> Zukham Tha !
> > ===========================================================
> Mere marne ke baad mere doston,
> yu aansoo na bahana,
> Agar meri yaad aaye to,
> sidhe upar chale aana.
> > ===========================================================
> Unki gali se guzre..ajeeb ittefaq tha
> Unki gali se guzre..ajeeb ittefaq tha
> Unho ne phool phenka..gamla bhi saath tha
> > ===========================================================
> Kyon apni kabar khood-hi khod raha hai Galib
> Kyon apni kabar khood-hi khod raha hai Galib
> La, phawda mujhe de.
> > ===========================================================
> Maine tujhe dekha
> Dekhta raha, Dekhta hi gaya
> Phir mujhe chashma lag gaya
> > ===========================================================
> Tumko dekha to ek khyal aaya
> Tumko dekha to ek khyal aaya
> Tumhari saheli ko dekha to doosra khyal aaya.
> > ===========================================================
> Maine pucha chand se ki kahin dekha hai mere yaar sa
> hasin
> Chand ne kaha Ullu ke pathe..itni upar se dikhta
> hai kya koi???
> > ===========================================================
> Suraj Hua Madham , chand bhi chalne laga,
> mein thehra raha, zamin chalne lagi, sajna kya yehi
> pyaar hai ??
> Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG
> > ===========================================================
> Itna khubsurat kaise muskura lete ho ..
> Itna qatil kaise sharma lete ho ..
> Kitni aasani se Jaan le lete ho ..
> Kisi ne sikhaya hai ya bachpan se hi kamine ho ?
> > ===========================================================
> Kehte hain ki ISHQ main neend ud jaati hai
> Koi humse bhi ishq kare
> Khambhaqat neend bahut aati hai

--------------------------------------------

I HAVE WRITTEN ONE:

MOHABBAT AUR ASHIQI ME HAIN MAJBOORIYAN HAZAR,
MOHABBAT TO HO JAISE KOI MAJBOORI KA BAZAR,
MOHABBAT KI CHAH WALE MAJBOORI KHARIDA KARTE HAIN,
APNE HI AMAN CHAIN SE DOORI KHARIDA KARTE HAIN..

--------------------------------------------

Galiyoun se meri tum ne guzar ker nahin dekha
Gham yeh hai k khoushioun ne mera ghar nahin dekha

Mehroom hai woh pyar ki dolat se abhi tak
Dil jis ne kahin apna laga ker nahin dekha

Gumnaam hai woh phool gulistaan-e-jahan main
Khushboo ki tarah jis ne bikher ker nahin dekha

Aaiine faqat us ki tasalli k liye ha
Dulhan ki tarah jis ne sanwar ker nahin dekh

Yeh sach hai mera qatl sar-e-aam hai
Kis ka tha mere peat main khanjer nahin dekha

Dil cheer ker nikle hain yeh ashaar mere
Afsous inhein aap ne pharh ker nahin dekha

--------------------------------------------

phalak ko gar zid hai bijliya girane ki
tho hame bhi zid hai bahi pay apna aashiya banane ki

--------------------------------------------

kaandha na dena mare zanaze ko
kahi main phir se zinda na ho jayu sahara dekhkar.

--------------------------------------------

ye, nazir tu is tarah chal kafilaye ke saath
gar tu na chal sake tho teri dasstan chale

--------------------------------------------

sagar ki har lehar ko sahil nahi milta
dunia me har kisi ko sab hasil nahi milta
ye dil walon ki dunia hai ajab hai dastan iski
koi dil se nahi milta kisi se dil nahi milta

usne mujhe taklifon me dost kaha tha kya karta
meri aankhon me katra bhar ashq bacha tha kya karta
yun to uske dukh dene ke sab tevar the yaad mujhe
par aaj mila to muskane ka dhang naya tha kya karta
phulon wale sare raste uske ghar tak jaate the
par usne mujhsa suna ped chuna tha kya karta
bachne ke to laakh bahane puche the ek nazmi se
par uske haath me mera naam likha tha kya karta

--------------------------------------------

Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!

*******************************************************
Ful ki shuruwat kalise hoti hai,
Zindagi ki shuruwat jaan se hoti hai,
Pyaar ki shuruwat dostise
Aur dosti ki shuruwat aapase hoti hai !!!
********************************************
Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai
****************************************
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
Afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
***************************************************
Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi
Bhakti shraddha me hoti hai shabdon me nahi..
Tu bhi jaan le mere dost
Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi
************************************************
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardaan (neck) to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
*********************************
Mera ikaraar tere inkaar se behatar hoga,
Mera din bhi teri raat se behatar hoga,
Yakeen nahi aata to dolise zankakar dekh lena..
Mera janaazaa teri baaraat se behatar hoga !!!
********************************************************
Baadal garaja magar barasaat nahi aayi,
Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi,
Pura din gujarane ko hai dost,
Kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
****************************************************
Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya,
Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya,
Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi,
Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
********************************************************
Aaj apne aap se khafaa hoon
Jo uske chere ki madhoshiyaan na pad saka,
Par kya karoon uski yaad me aisa khoyaa
Ki uski muskurahat ke peeche ki shararat na pad saka.
*************************************************************
Aaj kuch khas baat to jaroor hai
Jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain ..
Kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin..
Jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
**********************************************************
Aapke shahar ka har mausam suhana lage,
Ek shaam chura loon aapki agar bura na lage,
Aap chahe bhula de hume ek pal me hi,
Aapko bhulane me shayad hume jamana lage.
**********************************************************
Aapne dushman se hi dil laga baithe
Unki Saadgi se fareb kha baithe
Pattharon se tha Apna rishtaa..
Phir bhi Shishe ka Ghar bana baithe
************************************************************
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna.
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.
************************************************
Zindagi kisiki mohataz nahi hoti,
Dosti sirf jazbaat nahi hoti,
Kuch to khayal aaya hoga khuda ko,
Warna yuhi aapki humse mulaqat nahi hoti.
**********************************************************
Jindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,
Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki kaid main jamanat nahi hoti.
********************************************************
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
Is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
*************************************************************
Guzre huwe kal ki yaad aati hai,
Kuch lamho se aakhen bhar aati hai.
Woh subah rangeen woh shaam nirali doob jaati hai,
Jab aap jaisi dosto sirf yaado mey aati hai.
*************************************************************
Boy says : -
Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho: Your file not found!

Girl says : -
Aisa bhi nahin hai ke, I don’t like your face ,
Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space
********************************************************************
Ishq ek shokh nigaah hai dost,
Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost,
Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin,
Jhoot ke jangal se alag,
Sach ki ek raah hai dost.
***********************************************

--------------------------------------------

apno ne mara hai humko,
gairo mein kahan tha dum,
kashti bhi apni to doobi,
jahaan paani tha kam.

kismat par aitbaar kisko hai,
mil jaye khushi inkaar kisko hai,
kuch majbooriyaan hain mere dost,
warna judaai se pyaar kisko hai.

--------------------------------------------

#Log kahtey hain ki ladkiyan zindagi hoti hain maut nahi,
Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi

#Ab umar ho gayi hai dil ki kitaab mein, kuch khusk paton ke siva kuch nahin raha,
Zazbaat tamaam kho gaye lamhon ki dhool mein, ab dil mein dharkanon ke siva kuch nahi raha.

#Kasur na unka hai na mera, Hum dono hi rishton ki rasmein nibhate rahe,
Woh dosti ka ehsaas jatate rahe, Hum mohabbat ko dil mein chupate rahe.

--------------------------------------------

es say bar kar sabar ka saboot kiaa data
wo roe mujy say galy lag kar kse or k liyea

--------------------------------------------

kisko mai yahaan apna kah

dun zindagi bhi bewafa si lagti

hai . kabhi milti hai kabhi kho

si jati hai woh mujhko woh

bewafa si lagti hai .

--------------------------------------------

ITTEFAQ SE MILI ZINDEGI/
ITTEFAQ SE HI HUM HUE MAJBOOR/
AUR ITTEFAQ SE HI TUM HUE MUJH SE DOOR /
BAHUT DOOR !

--------------------------------------------

Khusi mili magar has na sake, Gum mila magar rona sake,Yahi to duniya ka dastur hai jise chaha use pa na sake, jise paya use chah na sake.

--------------------------------------------

mattak mattak kar kya chalti ho,
kya maar dalogi,thodi si de doh kya achar dalogi,

--------------------------------------------

Chitti chunni utte kala phool kadai da,
ek tah teri yaad sttave, dujha phikar padai da,

--------------------------------------------

Boy: jhalak dekhlaa ja jhalak dekhlaa ja,,,,

Girl: sindal utaar ker kehti hai,,,, Aik baar aaja aaja,,, aaja aaja,,,, aaaaaja

--------------------------------------------

Tumhari yadon ki mehek in hawaon mein hai.pyar hi pyar bikhra in fizao mein hai.
asia na ho ki duriya dard banjaye.ab to apke message ke intezaar mai hai.

--------------------------------------------

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata, pyaar ki aag ko bhujaya nahin jata,
kitni bi duri ho dosti mein,aap jaise dosti ko bhulaya nahin jata

--------------------------------------------

Jiss Jaga Teri Jafa Ki Intihaa Ho Jayegi
Sabar Ki Meray Wahaan Say Ibtidaa Ho Jayegi

Kiya Khabar Thi Zindagi Sarf-e-Duaa Ho Jayegi
Un Kay Paaney Ki Tamanna iltijaa Ho jayegi

Ham Ko Ye Ma’aloom Na Tha Qasd-e-Safar Ke Saath Hi
Tum Badal Jaogey, Dunya Bewafa Ho Jayegi

Phool Se Khushboo Uri To Uss Ko Andaza Na Tha
Woh Hawa Ke Khel Mein Khud Bhi Hawa Ho Jayegi

Faasley Barhh Jayenge Youn Ek Zara Si Baat Per
Umer Bhar Ki Dousti Youn Bey Maza Ho Jayegi

Koee To Umeed Ka Patwaar Dedo Haath Mein
Warna Naaow Zindagaani Ki Fanaa Ho Jayegi

Intezaar-e-Yaum- e-Eefaaye- e-Ehad Hota Nahee!
Aap Aajaen,Qayamat Khud Bapaa Ho Jayegi

--------------------------------------------

tamnaa ne jindagi ke achal me hath felakar pucha -me kab puri hogi,
jindagi ne muskura ke kaha, jo tamnna puri ho jaye vo tamnna hi kya

--------------------------------------------

No comments: